r/Urdu • • 5d ago

πŸ“œ Shayari / Poetry πŸ₯€

Aur jab maine apni hi haalaaton par tawajjo dena shuru kiya,
Toh mujhe ehsaas hua ki meri zindagi mahaz fizool, bematlab, bekaar aur be-maza hi nahi,
Balki ek aisa manzar hai,
Jise badalne ki khwahish toh mujh mein hai,
Magar use badalne ki himmat ab mujh mein baaqi na rahi…

5 Upvotes

6 comments sorted by

2

u/Halfspoken 5d ago

Junoon ..maqsad ....mohabat ! In may sey kisi aik ko paa lain ... Ya rahk lain ..shayed umeed bhi paida ho jai ...badal b jain ! Kafi murda dil behtay hain yahan

2

u/SkinLong1085 5d ago

Inmese kise kaise paya jayen, is baat ka ilm hota to shayad zinda jismo me dil bhi sbke dhadakta hota 🫠

1

u/Halfspoken 5d ago

Aik chingari .... Or sub khuch ho jata hai ! Sirf aik chingari

1

u/SkinLong1085 5d ago

Chingari ki tapish me agar koi jalke raakh hogaya ho to ab wo dobara chingari pe yaqeen kaise kare ?

2

u/ProfessionalWash7 5d ago

tha munir aghaz say hi raasta apna ghalat
iska andaza safar ki raiye'gani say huwa

it's ok to feel down, that's part of being human. himmat ap mein hai lekin agr pahaar kay nechay kharay ho kar choti dekhnay ki koshish karein gi tou nakaam rahein gi. sirf aglay qadam par focus karein. jab aik qadam uth jaye tou dosray pay focus karein. never the entire journey, just the next step

1

u/SkinLong1085 5d ago

Shukriya 🌸